Image From http://consult4sales.com/wp-content/uploads/2015/04/Direct-Selling0222.jpg |
Dosto! main Shakeel Ahmed Aap ko Directsellinghelp mein Khush Aamdeed Kahta hun
To Doston Aaj Hum Jaanenge Ki Direct Selling Kya hai.
Agar Article Achcha Lage to Share Karna na Bhoolein.
Current world mein Bahut si Tabdilyan aai hain, Like Technology, Science, Education System waghairah waghairah, Isi Tarah Business ki Duniya mein bhi Tabdilyan Hui hain. Kaha Jata hai "Pariwartan Sansaar ka Nityam hai".
Jaise Pahle Paise nahin the Barter System tha Yaani Agar koi Kheti karta ho to Anaaj Tailor ko dega aur uske ewaz mein us se Kapde Kharidega. Phir Thodi tabdili hui Paise ka Len Den Shuru hua Phir Tabdili hui. kuchh is tarah hain
Jise Hum Traditional Business Kahte hain..
Phir Tabdili Hui. Kuchch Is tarah se ki Direct Company Manufacturer se Mall mein Apna Maal La kar Bechti hai. Yaani Manufacturer_____Mall_____Customer. Such as Reliance Bazaar, Big Bazaar waghairah waghairah.
Phir Tabdili hui Kuchch Istarah se....
Jise Hum E- Commerce kahte hain.
In tamam System ko Promote karne ke liye TV par ya Akhbaar mein Advertisement ki Zaroorat hoti hai.
Now a day, Jise main Introduce karane ja raha hun Is Business ki Khususiyat Bahut hi Anokhi hai.
Woh hai Direct Selling Business
Is Business mein Kuchch Is tarah hota hai....
Is mein Direct Company Apna Apna Product Aap tak Pahunchati hai Aur Jaisa ke main ne kaha ki Traditional Business ko Promote karne ke liye TV Celebrities ya Akhbaron ka Sahara liya jata hai. Lekin Direct Selling Business mein Mouth Publicity ka sahara liya jata hai. Aur Jo paisa Traditional Marketing mein TV Celebrities ko diya jata hai woh Paise Company Public ko deti hai. Jo ke Ek Traditional Marketing mein nahin hai is liye Ise Anokha Business kaha gaya hai.
Aur Ise Network Marketing bhi kaha jata hai kyun ki yeh Promotion Public Network ke Zariye hota hai.
Jaise...
Koi Shakhs Kisi Cheez ko lekar Do Logon Ko Batata hai, Aur woh Do Log Apne Do Do ko Batate hain Isi tarah Se Network 4 se 8, 8 se 16, 16 se 32 Yaani ye Multiple hota Duplication hota hai. Is mein Company har ek ko Barabar Commission Set kar ke Logon ko Paise Baatti hai. Jab ke Traditional Marketing mein agar koi Mouth Publicity karta hai to use kuchh nahin milta.
Ummid hai ki Aap ko ye Post Achcha Laga hoga.... agar Achcha Laga to Comment Zaroor karein..