Chitika Ads
Thursday, 24 December 2015
Thursday, 17 December 2015
Important of Contact List in Network Marketing
Network Marketing mein Contact List ki Ahmiyat |
Image From http://www.vineetgupta.net/wp-content/uploads/2015/08/mlm-lead-generation-by-Making-Contact-List.png |
Dosto!Duniya ke har kaam ko ek system se kiya jaata hai. Agar Duniya ke kisi kaam ko System se na kiya jaye to woh Nakaam hota nazar aata hai...
Isi Tarah Network Marketing mein ko Join karne ke Baad Networker ke liye Contact List Bahut Maani rakhti hai. Magar Kuchh log Network Marketing ko Join karne ke baad Contact List nahin bana pate. Apne Waqt ko Contact List Banane mein Nahin Invest karte aur Kuchh log Bana to lete hain lekin us ki Taraf Dhiyaan hi nahin hota. Jis ki Wajah se System Vise Kaam nahin ho pata.
Aaj main Contact List Par Roshni Daalunga ki Cotact List kis tarah Banaya Jaye.
Sab se Pahle ek Pockt Size Diary Kharidein, Kuchh log Mobile Contact List par Bharosa karte hain Jab ke Aise nahi hona chahiye is tarah se hamara bahut nuksaan ho sakta hai aur hum Tezi se Network Banane meinn Kamyaab nahin ho payenge Apne Mobile Phone se Contact ko Apne Dairy mein Likhein.
Apne Diary mein Kuchh is tarah se Contact List Banayein..
Image from http://nunoandrade.biz/eng/wp-content/uploads/2015/05/contact-list.jpg |
Apne Contact List Ko Category Reminder Method mein Likhien:
- Family (genealogy, reunions)
- High School (class reunions, directories)
- College (alumni directory, frat/sorority, sports, clubs)
- Past Work (How many jobs have you had?)
- Current Work
- Wedding List
- Cell Phone Directory
- Neighborhood (Home Owners Association)
- Clubs/Organization (PTA, Rotary)
- Sports
- Church
- Professional Associations
- Location (Who do you know in NY, LA, Dallas, etc.)
- Vocation (Who do you know is a doctor, lawyer, dentist, etc.)
To Doston Kaisa Laga Mera Post Agar Achcha Laga to Zaroor Is Post ko Social Media Jaise Facebook, Google+ waghaira par Share karein.
Agar kisi ko koi Suggetion ya koi Sawaal ho to mujhe E-mail ya Facebook par Sawaal kar Sakte hain.
Tuesday, 15 December 2015
Pillar Of Multi Level Marketing (MLM)
Image From http://daveschlueteronline.com/wp-content/uploads/2012/05/success_pillars-300x207.jpg |
Dosto! Har Ghar ki Bunyaad 4 Pillar par hoti hai isi Same As Direct Selling Marketing mein bhi 5 Pillar hota hai Jis ka Join hone se Pahle Check karna Bahut Zaroori hai...
Kyun ki Direct Selling Companies Bahut se hain. Jin mein Bahut si Companiyan Fraud bhi hoti hain
main ek kar ke 5 P ke bare mein Tafseel se Baat karunga.
1. Promoter (Founder of Company)
2. Profile
3. Product
4. Plan
5. Pay Out.
1. Promote (Founder of Company)
Kisi Bhi Company Se Join hone se Pahle Company ke Promoter ke Background se wakif hona zaroori hai. Us Ka Background Mazboot ho. Yaani Financially taur par Mazboot ho, agar aisa nahin hai to Company Fraud hai.
2. Profile
Kisi Bhi Company ko join karne se pahle Profile Check karein Profile mein Award & Reward, Certificates, Property, Offices Wagairah ko Check karein.
3. Product
Network Marketing Companies Aksar is tarah ke Products Sell karti hain.
- Skin Care Products
- Telephone Services
- Real State Services
- Bima, Mutual Fund, Credit Card,
- Qanooni Sewayein
- Internet Market Distribution
- Health Care Products, Vitami.
- Jewelery
- Tex Services
- Educational Toys
- Online Education Packages
4. Plan
Kisi Bhi Multi Level Marketing (Yaani Direct Selling) Company mein ye 3 Step Chalne hote hain.
1. Purchase
2. Promote
3. Help
1. Purchase:
Company ke paas ek Kit Ya Package hota hai Jise Khardna hota hai Us ke Baad aap Us Company ke aap Distributor ban jaate hain. Us ko Aap Use Kijiye ya Bech dejiye Apne Use mein laana Bahtar hoga kyun ki Jab tak aap us Kit ko apne use mein nahin laate jab tak aap ka us Product ke Prati Confidence Level nahin badega. Agar Aap Use karte hain to aap Apne Customer ya Client ko Confidence ke Saath bata sakte hain.
2. Promote:
Ab Aap ne use kiya ab ise Logo tak Promote karna hai yaani aap ko us Product ke Faide bata kar Un logon tak Pahunchana hai jo ye Product nahin use karte aur us product ki Zaroorat bhi hai. Logo ko Batane ke liye Company Kuchch is tarah se Binary System hoti hai.
Company Ek Binary ke Hisab se Commission Deti hai. Kuchh Companies mein Thoda Alag System bhi hota hai.
Main ne ek Company Join ki thi Jis mein Binary 200 tha Lekin kuchch Dinon baad Us ka Binary 150 hogaya Us ke baad woh Company bhi band ho gayi. Dar asl woh Company Mobile Recharge base company thi. Ye baat is liye bata raha hun kyun ki ye Aap ke saath bhi ho sakta hai. Kyun ki agar is tarah ke product Company laati hai. To samjho ye zyada din tak Tikne wali nahin hai kyunki aap ko bhi pata hai Mobile Recharge mein Kitna Benefit hai Mushkil se 2.5% se 3% ab bataiye is mein Company kya Kamayegi aur kya Distributor ko Degi.
3. Help:
Aap Is Business ko Join karne ke Baad 1 Binary Banate hain. Ab jo Distributor aap ke zariye se Business mein juda ab un logo ka Help kijiye un ko Promote karne mein.
5. Pay Out.
Yaani Aap jis Company mein kaam karte hain us Paise Dene ka System Strong ho. Kisi Company mein aap ko Weekly Payment bhi milta hai aur kisi mein Monthly bhi aur kai Companies mein to Weekly, Monthly & Yearly ye teenon Tarah se Paise milte hain.
Thursday, 22 October 2015
Direct Selling Kya hai
Image From http://consult4sales.com/wp-content/uploads/2015/04/Direct-Selling0222.jpg |
Dosto! main Shakeel Ahmed Aap ko Directsellinghelp mein Khush Aamdeed Kahta hun
To Doston Aaj Hum Jaanenge Ki Direct Selling Kya hai.
Agar Article Achcha Lage to Share Karna na Bhoolein.
Current world mein Bahut si Tabdilyan aai hain, Like Technology, Science, Education System waghairah waghairah, Isi Tarah Business ki Duniya mein bhi Tabdilyan Hui hain. Kaha Jata hai "Pariwartan Sansaar ka Nityam hai".
Jaise Pahle Paise nahin the Barter System tha Yaani Agar koi Kheti karta ho to Anaaj Tailor ko dega aur uske ewaz mein us se Kapde Kharidega. Phir Thodi tabdili hui Paise ka Len Den Shuru hua Phir Tabdili hui. kuchh is tarah hain
Jise Hum Traditional Business Kahte hain..
Phir Tabdili Hui. Kuchch Is tarah se ki Direct Company Manufacturer se Mall mein Apna Maal La kar Bechti hai. Yaani Manufacturer_____Mall_____Customer. Such as Reliance Bazaar, Big Bazaar waghairah waghairah.
Phir Tabdili hui Kuchch Istarah se....
Jise Hum E- Commerce kahte hain.
In tamam System ko Promote karne ke liye TV par ya Akhbaar mein Advertisement ki Zaroorat hoti hai.
Now a day, Jise main Introduce karane ja raha hun Is Business ki Khususiyat Bahut hi Anokhi hai.
Woh hai Direct Selling Business
Is Business mein Kuchch Is tarah hota hai....
Is mein Direct Company Apna Apna Product Aap tak Pahunchati hai Aur Jaisa ke main ne kaha ki Traditional Business ko Promote karne ke liye TV Celebrities ya Akhbaron ka Sahara liya jata hai. Lekin Direct Selling Business mein Mouth Publicity ka sahara liya jata hai. Aur Jo paisa Traditional Marketing mein TV Celebrities ko diya jata hai woh Paise Company Public ko deti hai. Jo ke Ek Traditional Marketing mein nahin hai is liye Ise Anokha Business kaha gaya hai.
Aur Ise Network Marketing bhi kaha jata hai kyun ki yeh Promotion Public Network ke Zariye hota hai.
Jaise...
Koi Shakhs Kisi Cheez ko lekar Do Logon Ko Batata hai, Aur woh Do Log Apne Do Do ko Batate hain Isi tarah Se Network 4 se 8, 8 se 16, 16 se 32 Yaani ye Multiple hota Duplication hota hai. Is mein Company har ek ko Barabar Commission Set kar ke Logon ko Paise Baatti hai. Jab ke Traditional Marketing mein agar koi Mouth Publicity karta hai to use kuchh nahin milta.
Ummid hai ki Aap ko ye Post Achcha Laga hoga.... agar Achcha Laga to Comment Zaroor karein..
Subscribe to:
Posts (Atom)