Image From http://daveschlueteronline.com/wp-content/uploads/2012/05/success_pillars-300x207.jpg |
Dosto! Har Ghar ki Bunyaad 4 Pillar par hoti hai isi Same As Direct Selling Marketing mein bhi 5 Pillar hota hai Jis ka Join hone se Pahle Check karna Bahut Zaroori hai...
Kyun ki Direct Selling Companies Bahut se hain. Jin mein Bahut si Companiyan Fraud bhi hoti hain
main ek kar ke 5 P ke bare mein Tafseel se Baat karunga.
1. Promoter (Founder of Company)
2. Profile
3. Product
4. Plan
5. Pay Out.
1. Promote (Founder of Company)
Kisi Bhi Company Se Join hone se Pahle Company ke Promoter ke Background se wakif hona zaroori hai. Us Ka Background Mazboot ho. Yaani Financially taur par Mazboot ho, agar aisa nahin hai to Company Fraud hai.
2. Profile
Kisi Bhi Company ko join karne se pahle Profile Check karein Profile mein Award & Reward, Certificates, Property, Offices Wagairah ko Check karein.
3. Product
Network Marketing Companies Aksar is tarah ke Products Sell karti hain.
- Skin Care Products
- Telephone Services
- Real State Services
- Bima, Mutual Fund, Credit Card,
- Qanooni Sewayein
- Internet Market Distribution
- Health Care Products, Vitami.
- Jewelery
- Tex Services
- Educational Toys
- Online Education Packages
4. Plan
Kisi Bhi Multi Level Marketing (Yaani Direct Selling) Company mein ye 3 Step Chalne hote hain.
1. Purchase
2. Promote
3. Help
1. Purchase:
Company ke paas ek Kit Ya Package hota hai Jise Khardna hota hai Us ke Baad aap Us Company ke aap Distributor ban jaate hain. Us ko Aap Use Kijiye ya Bech dejiye Apne Use mein laana Bahtar hoga kyun ki Jab tak aap us Kit ko apne use mein nahin laate jab tak aap ka us Product ke Prati Confidence Level nahin badega. Agar Aap Use karte hain to aap Apne Customer ya Client ko Confidence ke Saath bata sakte hain.
2. Promote:
Ab Aap ne use kiya ab ise Logo tak Promote karna hai yaani aap ko us Product ke Faide bata kar Un logon tak Pahunchana hai jo ye Product nahin use karte aur us product ki Zaroorat bhi hai. Logo ko Batane ke liye Company Kuchch is tarah se Binary System hoti hai.
Company Ek Binary ke Hisab se Commission Deti hai. Kuchh Companies mein Thoda Alag System bhi hota hai.
Main ne ek Company Join ki thi Jis mein Binary 200 tha Lekin kuchch Dinon baad Us ka Binary 150 hogaya Us ke baad woh Company bhi band ho gayi. Dar asl woh Company Mobile Recharge base company thi. Ye baat is liye bata raha hun kyun ki ye Aap ke saath bhi ho sakta hai. Kyun ki agar is tarah ke product Company laati hai. To samjho ye zyada din tak Tikne wali nahin hai kyunki aap ko bhi pata hai Mobile Recharge mein Kitna Benefit hai Mushkil se 2.5% se 3% ab bataiye is mein Company kya Kamayegi aur kya Distributor ko Degi.
3. Help:
Aap Is Business ko Join karne ke Baad 1 Binary Banate hain. Ab jo Distributor aap ke zariye se Business mein juda ab un logo ka Help kijiye un ko Promote karne mein.
5. Pay Out.
Yaani Aap jis Company mein kaam karte hain us Paise Dene ka System Strong ho. Kisi Company mein aap ko Weekly Payment bhi milta hai aur kisi mein Monthly bhi aur kai Companies mein to Weekly, Monthly & Yearly ye teenon Tarah se Paise milte hain.
0 comments:
Post a Comment